script type="text/javascript"> ( function() { if (window.CHITIKA === undefined) { window.CHITIKA = { 'units' : [] }; }; var unit = {"calltype":"async[2]","publisher":"mohangarg","width":550,"height":250,"sid":"Chitika Default"}; var placement_id = window.CHITIKA.units.length; window.CHITIKA.units.push(unit); document.write('
'); }());

Sunday, 14 August 2016

sab se bada chamatkar

log chamatkar dhundne ke liye jagah jagah jate h-chamatkar . kya chamatkar ? 
paani par chalo. kyon ji, yeh kya chamatkar h ? jab hamara rasta pani ke upar
se jata hi nahi h , to ham kyon chale pani ke upar ? chamatkar dhundne ke liye
log badi badi jagah jate h. prantu sab se bada chamatkar kahan ho raha h?
kya aapne kabhi socha ?
       aapki jindgi ke andar ek ek swans , jiske liye kuchh nahi karna padta h
weh apne aap aata h , aapne aap jata h. kya yeh sabse bada chamatkar nahi
h ki kahi se koi cheez ayi aur kya de gai ? jeevan daan . bin mange , bina
kuchh kahe jeevan daan de gai aur chali bhi gayi. phir aayi aur nirantar
aati rahti h.
      swans ki kimat tab tak koi nahi janta, jab tak yeh swans rukne na lage
jab rukne lagti h , tab aadmi bolta h ," are, ek aur ". sabse bada chamatkar
h yeh, sabse bada chamatkar. jab raat me log soye hu ye h tab bhi chal raha
h.
    kya ham kabhi apni jindgi ke andar apne is chamatkari swans ke liye bhi
samay nikalte h ya nahi ? nahi. humko duniya bhar ki baaton se fursat nahi.
mera padosi kya kar raha h ? mera chacha kya kar raha h ? mera dost kya
kar raha h ? government kya kar rahi h ? isi se fursat nahi h. agar fursat
hoti to main bhi apne andar is chamatkar ka ahsas karta. main bhi apne
andar us cheez ko mahsus karne ki koshish karta,jo sachmuch me mere
adhin nahi h.agar swans manushya ke adhin hota , to pata nahi manushya 
kab ka mar jata, kyunki veh use lena bhul jaata. prantu swans manushya
ke adhin nahi h, manushya us swans ke adhin jarur h. 
to jo sabse bada chamatkar andar chal raha h , kya aapne isko kabhi 
samajhne ki koshish ki ?

No comments:

Post a Comment